Monday, 12 March 2012

dard e dil


Pucho na us kagaj se,jis pe hum dil ke bayan likhte hai,Tanhayino me beeti baate tamam likhte hai,Wo Kalam bhi dewani ho gayi,jis se hum AAP ka Naam likhte hai.
Unka waada hai ki vo laut ayenge,issi umeed par hum jiye jayenge,yeh intezaar bhi unhi ki tarah pyaara hai,kar rahe the, kar rahe hai or kiye jayenge.
Banane me mazaa hain wo kaar-khaane jaante hain 
Pilane me jo mazaa hain wo may-khaane jaante hain 
Jalne me jo mazaa hain wo  parwaane jaante hain 
Arre yaaro.. 
      pyar me jo mazaa hai wo deewaane jaante hain...
Aao Phir Nazm Kahen 
Phir Kisi Dard Ko Sahla Ke Suja Le Ankhen 
Phir Kisi Dukhti Rag Se Chhua De Nashtar
Ya Kisi Bhooli Huee Raah Pe Mudkar 
Ek Baar Naam Lekar Kisi Hamnam Ko Awaz Hi De Le
Phir Koi Nazm Kahen
mausam ko isharon se bula kyun nahi lete 
rootha hai agar woh, to manaa kyun nahi lete 

diwana tumhara koi gair nahi hai
machalaa bhi to seene se lagaa kyun nahi lete 

khat likh kar kabhi aur kabhi khat ko jalaakar 
tanhaayi ko rangeen banaa kyun nahi lete 

tum jaag rahe ho mujh ko achhaa nahi lagta 
chupke se meri neend chura kyun nahi lete

No comments:

Post a Comment