Is Kadar Na Har Baat Yaron Se Pucho,
Jo Baat Raaz Ki Ho Woh Isharo Se Pucho…
Lehro Se Khelna To Samandar Ka Shouk Hai,
Lagti Hai Chot Kaise Yeh Kinaro Se Pucho
Kash Khushion ki Ek Dukan Hoti,
Or Hamain Us ki Pehchan Hoti,
Bhar Detey aap ka har Pal Khushion Se,
Keemat us ki Chahey, Hamari Jaan Hoti...
Jo Bichre Hain Humse Kabhi To Milenge,
Na Woh Din Rahe Hain Na Ye Din Rahenge...
Woh Roinge Jaanasheen Mujhe Yaad Karke,
Mere Baad Jab Mere Fasaane Suneinge...
ho.nTho.n pe kabhii un ke meraa naam hii aaye
aaye to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aaye
hairaan hai.n lab_bastaa hai.n, dil_giir hai.n Gunche
Khushbuu kii zubaanii teraa paiGaam hii aaye
lamhaat-e-masarrat hai.n tasavvur se gurezaa.N
yaad aae hai.n jab bhii Gam-o-aalaam hii aaye
taaro.n se sajaa le.nge raah-e-shahar-e-tamannaa
maqaduur nahii.n subho chalo shaam hii aaye
yaado.n ke vafaao.n ke aqiido.n ke Gamo.n ke
kaam aaye jo duniyaa me.n to is naam hii aaye
kyaa raah badalane kaa gilaa ham_safaro.n se
jis raah se chale tere dar-o-baam hii aaye
thak haar ke baiThe hai.n sar-e-kuu-e-tamannaa
kaam aaye to phir jazbaa-e-naakaam hii aaye
baaqii na rahe saaKh "Adaa" dasht-e-junuu.N kii
dil me.n agar andeshaa-e-anjaam hii aaye
Aap Say Mil Kay Hum
Aap se milke hum, kuch badal say ga’ay (after having met you, I have changed somewhat)
Shair parhnay lagay, gungunay lagay (I've started reading poetry, humming to myself)
Pehlay mashhoor thi, apni sanjeedgi (first I was well-known for my seriousness)
Ub to jab daykhiyeah muskuranay lagay (now everytime I'm seen smiling)
Aap se milke hum, kuch badal say ga’ay
Shair parhnay lagay, gungunay lagay
Hum ko logo say milnay ka kab shouq tha (when was I ever interested in socializing)
Mehfil araii ka, kab hamay zouq tha (in gatherings, and relish)
Aap kay wastay hum nay yeah bhi kia (for you, I even did this)
Milnay julnay lagay, aanay janay lagay (started mingling, started going out)
Aap se milke hum, kuch badal say ga’ay
Shair parhnay lagay, gungunay lagay
Hum nay jab aap ki daykhe dilchaspiyaan (when I came to know your jolly interests)
Aagaye jab hum mein bhi tabdeliyean (even I changed)
Ik musawwir say ho gaye dosti (I made friends with an artist)
Aur ghazalein bhi sun’nay suna’nay lagay (and started listening and reciting poetry)
Aap ke baray mein pooch baytha koi (when someone asked about you)
Kia kahein hum say kia badhawasi howi (what can I say, I become very nervous.. hobble)
Kehnay wali jo thi, baat wo na kahi (instead of saying what I was suppose to)
Baat jo thi chupani, batanay lagay (I revealed what I was supposed to hide)
Aap se milke hum, kuch badal say ga’ay
Ishq bayghar karay, ishq bayghar karay (love makes you homeless, love makes you homeless)
Ishq ka such mein koi thikana nahi (truly there is no home for love)
Hum jo kal tak thikanay kay thay aadmi (until yesterday, I used to have a place)
Aap se milke kaisay thikanay lagay (after meeting you, look how I've become homeless)
Pehlay mashhoor thi, apni sanjeedgi
Ub to jab daykhiyeah muskuranay lagay
Aap se milke hum, kuch badal say ga’ay
Shair parhnay lagay, gungunay lagay
Ikraar karne se pehle hi hamne udaasi ka jaam pee liya hai
Jab jana ke unhon ne kub ka kisi or ka pyaar pa liya
Hum kyun nahin samjhte ke mohabbat mere naseeb main nahin
Jo aaj phir se rah_e_ishq ko azma liya hai
dekha tujh ko jab se hai
yeh baat is dil mein tab se hai
mil jaye mujh ko pyar tera
phir mangna kuch na rab se hai
Tab Tak Pyaar se Pyaar Na Karo..
Jab Tak Pyaar Aapse Pyaar Na Karey..
Aur Agar Pyaar Aapse Pyaar Karey Tho..
Pyaar Ko Itna Pyaar K Aapka Pyaar..
Kisi Aur Se Pyaar Na Kare..
2)sapno ki duniya humne sajai thi bade armaan se
socha tha karenge pura aapna har sapna bade samaan se
na jaane ye kaisi chai aandhi ye kaisa tufaan aaya hai
jis ne kar diya adura mujhe mera har sapna jalaya hai
3)gujre hue kal ki yaad aati hai,
kuch lamho se aankhen bhar aati hai......
woh subah rangeen aur shaam nirali hogi,
jab aap jaise dosto ki yaad aati hai........!
4)Nigahein apki pehchan hai humari
Dosti apki shaan hai humari
Karna hifazat apni
Kyu ke dosti apki jaan hai humari
5)Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !
6)Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,
Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai,
Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !
7)Mujhe naaz hai ke too mera pyar hai,
Tum ho to mujhe jine ka armaan hai,
Tumhe milne se dil khil uthta hai,
Meri zindagi ki ek toohi pahechaan hai,
Tere siwa mujhe kisi se kya kaam hai,
Tere bina mera jina bhi bekaar hai,
Mujhe naaz hai ki toohi mera pyar hai.
8)chand taron ka noor tuzpe barse,
har koi teri chahat ko tarse,
teri zindagi mein aayen itni khusi yan,
ke tu ek gum paane ko tarse
9)Na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye
Jahaan hai tere liye tu nahi jahaan ke liye
10)har saans,har dhadkan mein aap base hein
aap se durr hum kahaaan jayenge
khwaaboon mein aap
khayaloon mein aap hein.
bandh karenge jo aankhen
aap ko hi samne payenge