Sunday, 11 March 2012

TAQDEER NE AAJMAYA


Dil Ne Jo Chaha Kabhi Na Paya
Jhuthi Muskan Se Humne Gham Ko Chupaya
Har Insan Taqdeer Ko Aajmata Hai
Ek Hum Hain Jise Har Bar Taqdeer Ne Aajmaya…

DARD KA EHSAAS

Toota Ho Dil To Dukh Hota Hai
Karke Kisi Se Yeh Mohabbat Dil Rota Hai
Dard Ka Ehsaas To Tab Hota Hai Jab
Jis Se Mohabbat Ho Uske Dil Mein Koi Aur Hota Hai…

DIL KE KAREEB

Zindgi Basar Nahi Karte Tanha
Tanhai To Murdo Ka Naseeb Hota Hai
Woh Bewafa Hai To Bewafa Hi Sahi
Bewafa Bhi Dil Ke Kareeb Hota Hai…

MERI ZINDGI KI AAKHRI DUA

Aasmaa Me Sitaron Ki Chamak Baki Rhi
Uski Choodiyon Ki Khanak Baki Rhi
Ab Kaha Zindgi Baaki Rhi E Dost
Maaf Krna Yeh Kahani Baki Rhi
Mana Ki Iss Safar Ki Koi Manzil Nhi
Ek Raat Ki Aur Zindgi Baki Rhi
Yeh Sard Hawaon Ka Mousam Hai Dost
Begharon Ko Peimaano Ki Rahat Baki Rhi
Yun Hi Khatam Ho Jayega Hr Ek Intezaar
Kya Hua Jo Kuchh Hasraten Baki Rhi
Naa Afsos Kr Judaai Ka, Fir Kbhi Mill Lenge
Meri Zindgi Ki Aakhri Dua Baki Rhi
- Samarth Mayuur

AAKHIRI KHAT

Maine Us Khat Ko Chipaye Hue Rakha H
Andhero Me Khwabo Ko Sajaye Hue Rakha H
Baad Tere Ye Dil Na Kabhi Dhadka Magar
Us Mazmoon Se Sanso Ko Bachaye Hue Rakha H
Mujhko Dar H Kahi Baat Sare Aam Na Ho Jaye
Mere Naam K Sath Tera Naam Na Ho Jaye
Khairiyat Puchne Bhi Main Is Tarah Pahuncha
Ki Khwabo Me Qadmo Ko Dabaye Hue Rakha H
Log Kehte Hain Tum Usko Bhula Kyu Nahi Dete
Apni Zindagi Ko Ek Nayi Raah Dikha Kyun Nahi Dete
Bhoolna Chahun Main Tujhe To Khud Ko Bhulana Hoga
Har Lamhe Me Jo Tera Naam Sajaye Hue Rakha H
- Sahil Azad

SOYA NAHI MAIN

Kayi Roz Soya Nahi Main
Yun Chhod Gaye Humko Keh Ke Alvida
Woh Jo Humare Har Khwab, Har Khyaal Mein Aashiyana Banaye Baithe The
Khyalo Pe To Humne Kuchh Zor Aazma Liya
Khwabo Ki Pr Tasir Hi To Alag Thi
Isliye Kayi Roz Soya Nahi Main
Jaate-Jaate Ek Pal Ko Yun Palte Hamari Aur
Ek Pyari Si Muskan Dene Ko
Shayad Khush The Humse Dur Hokar
Hum Bhi Hans Diye Ek Pal Ko
Socha Ek Unki Khushi Pe Hi To Hai Nisar Apne Har Gam
Isliye Kayi Roz Roya Nahi Main
Kayi Roz Soya Nahi Main

MERE ASHQ


Ek Pal Bhi Chain Na Aaye To Kya Kru
Har Pal Teri Yaad Sataye To Main Kya Kru
Kehte Hain Ki Kanto Pr B Neend Aa Jati Hai E Harjeet
Mere Ashq Mujhe Raat Bhar Jagayein To Main Kya Kru…

TOOTE HUE SAPNE

Kal Guzrey Hue Lamho Se Mulaqat Ho Gayi
Kuch Toote Hue Sapno Se Baat Ho Gayi
Yaad Aa Gaye Fir Se Kuch Kisse Purane
Aur Aankho Se Be Mausam Barsaat Ho Gayi…
Sad Shayari - Related to: 
1 Comment

TERI YAADON KE SAAYE

Gaye Jo Tum Chhod Ke Hame Ashq Hi Sookh Gaye
Bune The Satrangi Sapne Jo Ek Pal Mein Hi Toot Gaye
Aaye Na Phir Kabhi Wo Pal Jo Humko Rula Saken
Teri Yaadon Ke Saaye Mein Hum Khud Ko Hi Bhool Gaye
- Akash Chauhan

SIRF EHSAAS KA DHOKA

Na Kuch Tera Hoga
Na Kuch Mera Hoga
Zindgi Me Bas Uper Wale Ka Faisla Hoga
Kon Kehta Hi K Ye Waqt Hamara Hai
Ye To Sirf Ehsaas Ka Dhoka Hai
Jeene Ke Liye Jitna Sochoge Utna Pachtawa Hoga
Bas Itna Hee Samajh Lena Na Kuch Tera Na Kuch Mera Hoga…
- T Khan

THI UMEED JINSE

Thi Umeed Jinse Badi-Badi
Wo Mile Aaj To Aise Mile
Main Nazar Utha Ke Tadap Gaya
Wo Nazar Jhuka Ke Chale Gaye
- Roxsar

BEWAFA LOGO KI DUNIYA

Tum Agar Yaad Rakhoge To Inayat Hogi
Warna Humko Kahan Tum Se Shikayat Hogi
Yeh To Bewafa Logo Ki Duniya Hai
Tum Agar Bhool Bhi Jao To Riwayat Hogi…

BEWAFAI UNKI FITRAT


Waqt Guzrega Toh Hum Sambhal Jayenge
Maut Se Pehla Samajh Jayenge
Ki Bewafai Unki Fitrat Hai, Na Ki Majburi
Tanhai Mein Hi Sahi, Hum Phir Se Bus Jayenge…
- Ritesh Modi

BEWAFAI KA THIKANA

Husn Ki Mehfil Thi, Ishq Ka Tarana Tha
Pahunch Gaye Hum Wahan, Jahan Bewafai Ka Thikana Tha
Dil Ne Chuna Bhi Use, Jise Bewafa Kehlana Tha
Chalo Koi Baat Nahi
Zakham Hame Milna Tha Aur Dard Ko Pana Tha…
- Ritesh Modi

MERA GHAM TERE JAZBAT

Mera Din Teri Raat Se Behtar Hoga
Mera Gham Tere Jazbat Se Behtar Hoga
Ai Sanam Doli Se Bahar Jhakh Kar Dekh Lena
Mera Janaja Teri Barat Se Behter Hoga…
- Keshav Kumar Singh

ARMAAN NAHI NIKALTE

Usne Fer Li Nigahein Jaise Anjaan Ho Koi
Dil Hua Veeran Jaise Shamshan Ho Koi
Ashq Behte Hain ‘Harjeet’ Par Armaan Nahi Nikalte
In Armaano Ke Saaye Chalta Jata Hai Koi…
- Satyen
Sad Shayari - Related to: 
1 Comment

JODIYA TO UPPER WALA BANATA HAI

Jodiya To Upper Wala Banata Hai
Wahi Hasata Hai Wahi Rulata Hai
Do Pal Ki Khushiya Dekar Kisi Ajnabi Se
Fir Zindgi Bhar Tadpata Hai…
- Nitin Shah

LAUT CHAL

Aaj Ye Dil Keheta Hai, Tu Ab Laut Chal
Guzarte Nahin Hai, Mere Koi Bhi Pal
Mujhko Yahaan Se Le Chal
Aaj Ye Dil Keheta Hai, Tu Ab Laut Chal
Woh Manzil Yahaan Nahin Milegi
Jiski Tujhe Talash Hai
Woh Manzar Yahaan Nahin Dikhega
Jo Tere Dil Ke Aas Paas Hai
Milta Nahin Hai Mujhe Yahaan Koi Bhi Hal
Mujhko Yahaan Se Le Chal
Aaj Ye Dil Keheta Hai, Tu Ab Laut Chal
“Waise” Log Yahaan Nahin Hai
Jinko Dhund Raha Hai Tu
Yahaan Log Waise Nahin Hai
Jinse Jud Raha Hai Tu
Na Banega Yahaan Mere Sapno Ka Mahal
Mujhko Yahaan Se Le Chal
Aaj Ye Dil Keheta Hai, Tu Ab Laut Chal

MUQADDAR ME HALCHAL


Muqaddar Me Halchal Khyalo Se Hoti
Na Paresan Jindgi Sawalo Se Hoti
Agar Asma Par Mera Ghar Jo Hota
Manjil Jameen Ki Nigaho Me Hoti
Dil E Masoom Ka Majhab Unke Bina Kya
Bhala Kese Jane Ye Rang Hina Ka
Hasrat E Muhobbat Khilona Samajhta
To Taqleef Na Unki Baaho Me Hoti
Un Najaaro Ke Aage Najar Dekh Pati
Nasihat Nisaro Ki Gar Sath Hoti
Jawani Ki Jagir Panaho Hoti
Mukaddar Me Halchal Khayalo Se Hoti
Na Paresan Jindgi Sawalo Se Hoti
- Armanjal

BARBADI KA AFSANA

Sari Raat Baith Kar Apni  Likha Maine
Jab Kalam Uthai To Khud Ko Deewana Likha Maine
Ye Vaadiyan, Ye Manjar Ye Chaand Sitare Lagte Hain Apne Se
In Apno Ke Beech Khud Ko Begana Likha Maine
Wo Baith Kar Chali Gyi Raqeebo Ki Doli Mein
Uski Is Bewafai Ko Bhi Mazboori Ka Bahana Likha Maine
Na Chaahte Hue Bhi, Khuda Jaanta Hai Usko Shama Khud Ko Parwana Likha Main…
- Tarun Dev Verma
Sad Shayari - Related to: 
2 Comments

WO MILA HI NAHI

Maine To Bahut Chaha Magar Wo Mila Hi Nahi
Lakh Koshish Ki Magar Faasle Mite Hi Nahi
Uss Ko Majboor Zamane Ne Iss Kadar Kar Diya
Ke Mere Kisi Aansu Se Woh Pighla Hi Nahi
Khuda Se Jholi Faila Ke Manga Tha Usey
Khuda Ne Meri Kisi Dua Ko Suna Hi Nahi
Har Ek Se Puchi Vajah Uss Ke Na Milne Ki
Har Ek Ne Kaha Wo Tere Liye Bana Hi Nahi
- Sadaf Naaz Khan
Sad Shayari - Related to: 
5 Comments

AANKHO ME NAMI

Hotho Pe Hansi Aankho Me Nami Jine Ki Aadat Ho Hi Gayi
Mere Liye Tum Hi Sab Kuch Par Tere Liye Ham Kuchh Bhi Nahi
Chehra Tera Dhundhala Dhundhla Khoi Khoi Si Tasveere
Tum Khwabo Me Kaise Aaoge Jab Aankho Me Neend Nahi
- Vinit Tyagi (Basera Taga)
Sad Shayari - Related to: 
1 Comment

KOI DEEWANA

Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samjhta Hai
Magar Dharti Ki Bechaini Ko Bas Badal Samjhta Hai
Main Tujhse Dur Kaisa Hu,Tu Mujhse Dur Kaisi Hai
Yeh Tera Dil Samjhta Hai Ya Mera Dil Samjhta Hai
Mohobbat Ek Ehsason Ki Paawan Si Kahaani Hai
Kabhi Kabir Deewana Tha Kabhi Meera Diwaani Hai
Yahaan Sab Log Kehte Hain Meri Aakho Mein Aansu Hai
Jo Tu Samjhe Toh Moti Hain Jo Na Samjhe To Paani Hai
Bahut Bikhra Bahut Toota Thapede Seh Nahi Paaya
Hawaaon Ke Ishaaron Par Magar Main Beh Nahi Paaya
Adhoora AnSuna Hi Reh Gaya Yoon Pyaar Ka Kissa
Kabhi Tum Sun Nahi Paaye, Kabhi Main Keh Nahin Paaya
Bhramar Koi Kumudni Par Machal Baitha Toh Hungama
Humare Dil Mein Koi Khwaab Pal Baitha Toh Hungama
Abhi Tak Doob Kar Sunte The Sab Kissa Mohobbat Ka
Main Kisse Ko Hakikat Mein Badal Baitha Toh Hungama
Main Uska Hun Wo Is Ehsaas Seinkaar Karta Hai
Bhari Mehfil Mein Bhi Ruswaa Har Baar Karta Hai
Yaki Hai Saari Duniya Ko Khafa Hai Humse Woh Lekin
Mujhe Maaloom Hai Phir Bhi Mujhi Se Pyaar Karta Hai
Main Jab Bhi Tez Chalta Hoon Nazaare Chhut Jate Hain
Koi Jab Roop Gadhta Hoon To Saanche Toot Jate Hain
Main Rota Hoon To Aakar Log Kandha Thap-Thapate Hain
Main Hasta Hoon To Mujhse Log Aksar Rooth Jate Hain
Mat Poooch Ki Kya Haal Hai Mera Tere Aage
Tu Dekh Ke Kya Rang Hain Tera Mere Aage
Samandar Peed Ka Andar Hai Lekin Ro Nahi Sakta
Yeh Aansu Pyaar Ka Moti Hain Isko Kho Nahi Sakta
Meri Chahat Ko Dulhan Tu Bana Lena Magar Sun Le
Jo Mera Ho Nahi Paaya Woh Tera Ho Nahi Sakta
Sazi Hai Khushnuma Mehfil Sabhi Dildaar Bethe Hain
Jidhar Dekho Udhar Hi Ishq Ke Bimar Bethe Hain
Hanseeno Ki Adaon Pe Sabhi Dil Haar Bethe Hain
Hazaron Mar-Mite Aur Sainkron Tayaar Bethe Hain
- Dev From Noida

KITNA SATAYE GAYE HAI HUM

Mehfil Se Apni Dekho Hataye Gaye Hai Hum
Unki Nazar Se Aaj Giraye Gaye Hai Hum
Kaise Dikhaye Apna Khoon-E-Jigar Hum Tumko
Kaise Kahe Ki Kitna Sataye Gaye Hai Hum…

DIL KA ZAKHM


Ek Sham Se Kiya Tha Wada Ke Na Phir Pyar Ke Beej Boyenge
Yaad Aayegi Uss Bewafa Ki Toh Chupke Se Royenge
Lo Phir Ek Sham Aayi Hai, Yaadein Uss Bewafa Ki Kaali Ghata Ban Chhayi Hai
Sataya Hai Phir Unke Bewafayion Ne, Rulaya Hai Dil Ki Tanhayion Ne
Bahar Toh Barsat Ho Rahi Hai, Dil Mein Gum Ka Sailab Uth Raha Hai
Kidhar Jayein Kisko Dekhayein, Zakhm Dil Ka Jo Phir Hara Ho Raha Hai…
- Ritesh Modi

ZINDAGI SE GHABRAATEIN HAIN

Hosh Me Aaye Zamana Hua, Lekin Bahosh Khud Ko Paate Hain,
Arsha Beeta Iss Duniya Mein, Lekin Khud Ko Tanha Paate Hain,
Dar Lagta Hai Lambi Umar Se, Itna Duniya Ne Sataya Hai,
Log Mout Se Dara Karte Hain, Hum Zindagi Se Ghabraatein Hain…
- Ritesh Modi

WOH WAQT

Phir Kab Milenge Yeh Unhone Pucha Nahi
Kyu Ho Rahe Hain Juda Yeh Humne Bataya Nahi
Kab Unke Aansuo Ne Humko Bewafa Kaha Pata Hi Nahi
Bus Woh Waqt Hi Kuch Aisa Tha Jisko Humne Pehchana Nahi…
- Ritesh Modi

KUCH KHABAR NAHI

Kab Ek Sham Ko Tumko Dekha Tha
Aur Kab Subah Hui, Kuch Khabar Nahi
Kab Pyar Hua Aur
Kab Hue Badnaam, Kuch Khabar Nahi
Kab Hui Subah Aur
Kab Hui Raat, Kuch Khabar Nahi
Kab Tum Zindagi Ban Gayi
Kab Tum Bani Bandagi, Kuch Khabar Nahi
Kab Tum Bani Bewafa Aur
Kyo Ki Tumne Bewafai, Kuch Khabar Nahi
Kab Se Ker Rahe Hain Intezar
Aur Kab Tak Karenge, Kuch Khabar Nahi
- Ritesh Modi

KUCH WAQT TANHAI MEIN

Kuch Waqt Tanhai Mein Beetaya Toh
Kuch Yaadein Taza Ho Gayi
Raah Mein Mila Tha Koi Saathi
Kaise Mujh Se Bewafa Ho Gayi
Dil Par Likha Tha Jiska Naam Humne Bade Pyar Se
Kaise Rooh Us Se Juda Ho Gayi
Abh Soch Ker Hum Roh Toh Pade Hain
Magar Phir Sochta Hoon Ab Bahut Der Hogayi
Kuch Waqt Toh Woh Bhi Thehra Tha Uss Mod Per
Jahan Rooh Badan Se Juda Ho Gayi

MAIN MAR JAAUN


Main Mar Jaaun To Maut Pe Meri Maatam Kaun Krega
Mere Baad Mere Dushmano Ki Hifaazat Kaun Krega
Tere Dar Pe Ae Khuda Bin Hasrat Koi Nhi Aata
Gar ‘Kumar’ Hi Na Raha To Bin Hasrat Teri Ibaadat Kaun Krega
- Ghanendra ‘Kumar’ Bamaniya

CHAHAT KO RUSWA

Milne Se Pahle Hi Juda Kardiya Tumne
Meri Chahat Ko Ruswa Kar Diya Tumne
Tamasha Ban Gya Hai ‘Kumar’ Duniya K Liye
Magar Khush Hai K Kisi Layak To Kar Diya Tumne…
- Ghanendra ‘Kumar’ Bamaniya
Sad Shayari - Related to: 
1 Comment

APNI BADKISMATI

Kaha Tak Bach Skta Hu Apni Badkismati Se
Koi Btaye Muzhe Main Jau Kaha-Kaha
Har Waqt Rehta Hai Meri Aankho Me Sailab Koi
Main Sapno Mein Ghar Bsau Kaha-Kaha
Koi Mila Tha Muzhe Zindagi Ka Sahara Bnkar Wafao Ko Liye
Mgar Main Use Uski Zafaye Sunau Kaha-Kaha
Mat Puchho Uske Diye Zakhamo Ka Haal Kya H Dosto
Tumhe Dikhau Kaha-Kaha, Un Par Marham Lagau Kaha-Kaha
Haye Khuda Bhi Sang-E-Dilo Ka Bankar Reh Gya Hai
Mai Apne Hatho Ko Uthau Kaha-Kaha
Na Krar Dil Ko Milta Hai, Na Hi Kisi Baazaar Mein Bikta Hai
So Jaye ‘Kumar’ Skoon Se, Apna Bistar Lgau Kaha-Kaha…
- Ghanendra ‘Kumar’ Bamaniya

ADHURI KAHANI

Adhuri Meri Bhi Kahani Rah Jayegi
Adhuri Teri Bhi Zindagani Reh Jayegi
Baithoge Jab Bhi Fursat K Palo Me Yaad Kroge Muzhe Hi
Aankho Se Behne Wale Aansu ‘Kumar’ Teri Nishani Rah Jayegi…
- Ghanendra ‘Kumar’ Bamaniya
Sad Shayari - Related to: 
1 Comment

UNKO TAKKALUF

Unko Takkaluf Muzhse Abhi Kuchh Jra-Jra Sa Hai,
Jo Zakham Diya H Muzhe Abhi Kuchh Hra-Hra Sa Hai,
Bas Shaam Dhal Jane Do, Unhe Karwate To Badlne Do,
Fir Sahar Me Puchhege Kyo Mann Unka Kuchh Bhra-Bhra Sa Hai,
Ja Sang-E-Dil Tune Aitbaar Kho Diya Hai Mera,
Aisi Chot Di H Tune Mere Dil Ko ‘Kumar’ Abhi Tak Kuchh Dra-Dra Sa Hai…
- Ghanendra ‘Kumar’ Bamaniya

KAISI HOTI HAIN TANHAIYAN

Tanhaiyan Kaisi Hoti Hain?
Shayad Tumhare Jaisi Ya Mere Jaisi Hoti Hain
Duniya Ki Iss Bheed Mein Maine Tumhe Or Mujhe Akela Sa Paya Hai
Ek Pyari Si Muskaan Ke Peeche Udasi Ko Paya Hai
Baat Tumhari Ho Ya Meri Aajmane Wale Khuda Ne Khub Aajmaya Hai
Bas Dil Ke Kisi Kone Me Ek Takleef Mehsus Hoti Hai Ki
Aaj Tak Na Tumne Mujhe Samajh Paya Hai Na Maine Tumhe Samajh Paya Hai…