Sunday, 11 March 2012

BEWAFAI KA SABUT


Usne Mujhe Apni Bewafai Ka Sabut De Diya,
Mujhe Meri Khushiyo Ki Judai Ka Sabut De Diya,
Usne Dikha Diya ’Kumar’ Ishq-E-Wafa Ka Anjaam Kya Hota Hai,
Mujhe Duniya Ki Bheed Me Meri Tanhai Ka Sabut De Diya…
- Ghanendra Kumar Bamaniya (Muzaffarnagar)

ITNE GAHARE NAATE

Itne Gehere Naate Kbhi Tode Nhi Jate,
Beech Raah Me Humsafar Bhi Chhode Nhi Jate,
Tumse Juda Hokar ’Kumar’ Chal Padega Maut Ke Safar Par,
Fir Wapas Un Raho Se Bhi Kadam Mode Nhi Jate…
- Ghanendra Kumar Bamaniya (Muzaffarnagar)
Sad Shayari - Related to: 
27 Comments

AJNABI THA WO

Ho Chuka Ab Kisi Ka Wo,
Kabi Meri Zindgi Tha Wo,
Bhoolta Hai Kon MOHABBAT Pehli,
Meri To Sari Khushi Tha Wo,
Phool Ki Tarah Muskrata Tha,
Mere Honton Ki Haansi Tha Wo,
Baad Barson K Usse Dekha Tha,
Aaj B Utna Hi Haseen Tha Wo,
Zindgi Naam Jis Ke Kr Di,
Log Kehte Hain Ajnabi Tha Wo…
- Atul Sharma

MANZIL BHI TERI

Sad Shruti
Manzil Bhi Teri Thi Aur Rasta Bhi Tera Tha,
Ek Tera Pyar Pa Lu Bs Yhi Sapna Mera Tha,
1 Hm Akele Rh Gye, Aur Pura Sansar Tera Tha,
Sath Sath Rehne K Soch Bhi Teri Thi,
Fir Akele Chhod Jane Ka Khayal Bhi Tera Tha,
Hatho Me Hath Lekr Mujhe Hasaane Ki Kasam Bhi Teri Thi,
Fir Meri Ankho Me Ansuo Ka Silsila Bhi Tera Tha,
Hum Q Yaha Tanha Rh Gye, Mera Dil Sawal Krta H,
Kismat Teri Thi Pr Kya Khuda Bhi Tera Tha?
Khuda Bola Uspe Aitbar Krne Ki Galti Teri Thi,
Use Dost Bnane Ka Khayal Bhi Tera Tha,
Use Chahne Ki Galti Bhi Teri Thi,
Use Apnane Ka Khayal Bhi Tera Tha,
Use Q Gam Ho Tere Dur Jane Ka?
Kya Usne Kbhi Kaha Tha Wo Sirf Tera Tha…
- Shruti Singh
Sad Shayari - Related to: 
26 Comments

BEWAFAI KA DARD

Dard Se Hum Ab Khelna Seekh Gaye,
Hum Bawafai Ke Saath Jeena Seekh Gaye,
Kya Batayein Kis Kadar Dil Toota Hai Mera,
Maut Se Pehle, Kafan Aud Ker Sona Seekh Gaye….
- Ritesh Modi
Sad Shayari - Related to: 
7 Comments

KI WO PATHAR

Dil Haqikat Ko Kuchh Is Kadr Chhupata Hai,
Ki Wo Pathar Hai Magar Bahut Yaad Aata Hai,
Ek Main Hun Jo Aankhon Me Ask Jawan Liye Hoon,
Aur Ek Wo Hai Jo Aaj Bhi Surma Lagata Hai,
Dard Mere Seene Me Hai Mujhe Iska Gila Nahin,
Gila To Ye Hai Ki Ruk Ruk Ke Aata Hai,
Rab Ki Rehmat Ko Bhala Koun Jaan Paya Hai,
Jo Kisi Ko Seesa To Kisi Ko Pathar Banata Hai,
Dil Haqikat Ko Kuchh Is Kadar Chhupata Hai,
Ki Wo Pathar Hai Magar Bahut Yaad Aata Hai….

No comments:

Post a Comment