Sunday, 11 March 2012

MANZIL KI TALASH


Toote Huye Se Hain Mere Sapne
Roothe Huye Se Hain Mere Apne
Manzil Ki Talash Mei Is Kadar Door Chale Aaye Hain Hum
Tanhai Ke Saaye Hain Na Jaane Kitne
Thami Huyi Si Hai Zindagi
Bikhri Huyi Hai Har Bandgi
Chaahkar Bhi Mud Na Paaye Hum
Bebas Hain Hum Kitne…
- Akash Chauhan

AKSAR TANHAI MEIN

Tanhai Mein Aksar Dil Toot Sa Jata Hai
Yun Hi Tanha Dil Kisi Se Ruth Sa Jata Hai
Main Koi Shayar To Nahi Jo Nazam Likhu
Dil Me Uthe Zazbaaton Ko Kuch Dard Bahre Ehsaason Ko
Lafzon Me Samete Jati Hu Yunhi Aksar Tanhai Me
Pal Pal Yaadon Ke Saye Hai Meri Palko Me Samayein Hai
Tanhai Se Bhari In Raatoin Me Akele Raahon Se Gujre Hai
Na Manzil Mili Na Sathi Koi Ab To Tanhai Se Bhara Har Ek Safar Hai
Khushiyan Bhi Pata Ab Bhul Gayi Hai Jaise Bhule Sab Sathi Hai
Ye Kaisa Manzar Hai Sochti Hu Main Yunhi Aksar Tanhai Mein…
- Pari
Sad Shayari - Related to: 
2 Comments

NA KUCH TUM KEH PAOGE

Kehteh Ho Ke Bahut Dur Chale Jaoge,
Phir Na Kabhi Humko Yaad Aaoge,
Kar Ke Dekhlo Her Mumkin Koshish,
Rooh Ko Jism Se Dur Na Kar Paoge,
Maana Aaj Saath Dena Hai Muskil,
Magar Mera Saaya Toh Saath Paoge,
Manzil Tum Bana Rahe Ho Kuch Alag Humse,
Dekhna Hai Kitne Dur Akele Chal Paoge,
Jab Bhi Honge Tanha Tum,
Dil Ko Hamare Liye Bekarar Paoge,
Kuch Lamho Ke Liye Shayad Ro Bhi Lo,
Per Sukoon Phir Bhi Na Paoga,
Her Zakhm Tumhara Hum Jhelenge,
Per Chain Tum Bhi Na Paoge,
Roye Hain Hum Kai Raaton Me,
So Toh Tum Bhi Nahi Paoge,
Todkar Dil Mera Tum Chal Toh Diye,
Per Manzil Tum Na Paoge,
Her Insaan Mere Janaaze Per Tumse Poochega,
Magar Na Kuch Tum Keh Paoge,
Magar Na Kuch Tum Keh Paoge…
- Ritesh Modi
Sad Shayari - Related to: 
3 Comments

MILNE KI DUA

Pyar Ke Liye Us Se Izazat Mangi
Tute Dilne Bhi Uske Liye Dua Mangi
Jane Kya Baat Thi Us Bewafa Me Ki
Maine Aakhri Khwaish Me Bhi Us Se Milne Ki Dua Mangi…
- Divyesh Patel
Sad Shayari - Related to: 
1 Comment

AAJ JINDGI HI TANHA

Kaisi Ye Aahat, Ye Kaun Si Ghadi Hai
Dil Mein Hai Chahat, Aankho Mein Nami Hai
Wo Aaye Is Tarah Ki Bhool Gaya Main Sab Kuch
Wo Gaye Is Tarah Ki Mehfil Sooni Padi Hai
Judai Ke Gam Mein Hue Khaak Aise
Hame Dosto Ki Jaroorat Padi Hai
Peene Ki Hamko Kabhi Thi Na Aadat
Par Aaj Pilaane Mohabbat Khadi Hai
Tanha Sa Rahna, Hame Tha Na Pyara
Par Aaj Jindgi Hi Tanha Hui Hai…
- Ashwani Mishra

BAND AANKHON MEIN AANSU

Zindagi Khubsurat Thi, Sajaya Tha Aisa Aapke Pyar Ne
Basta Tha Gulistan, Mehkaya Tha Aapke Pyar Ne
Aur Zindagi Se Koi Aash Na Rakhi Humne
Paane Ke Baad Tumhe Koi Pyaas Na Rakhi Humne
Lekin Jaane Kya Khuda Ko Tha Manzur
Ke Paane Ke Baad Apko Kho Diya Humne
Ab Saari Saari Raat Yehi Sochte Guzar Jati Hai
Kyu Khusiyon Ko Nazar Lag Jati Hai
Hum Phir Aisa Khuda Ka Hukum Maan Ker Ro Liya Kerte Hai
Unki Yaadon Ko Seene Mein Dabaye So Liya Kerte Hai
Ab Dard Seene Mein Chupaye Chupte Nahi
Band Aankhon Mein Aansu Rukte Nahi…

No comments:

Post a Comment