Sunday, 11 March 2012

DEEWANE KI DEEWANGI


Dard Na Hota Agar Ishq Mien Toh Shayad Mohabbat Ka Naam Bhi Na Hota,
Dil Na Toot-te Agar Pyar Mein Toh Diljalo Ka Sailab Bhi Na Hota,
Khuda Yeh Kaisi Teri Khudai, Kyu Tu Ne Bewafai Banayi,
Are Hum Yuh Hi Kurban Ho Jate, Kyu Tu Ne Dil Mein Aag Lagayi,
Abh Hum Kisi Ko Pyar Se Dekhna Se Bhi Darte Hain,
Ro Dete Hai Jab Log Hume Deewana Kehte Hain,
Kya Hum Un Logo Ko Bataye, Kaise Apne Zakham Dikhaye,
Naam Khuda Tera Hi Badnam Hoga, Jab Charcha Yeh Khule Aam Hoga,
Ke Es Deewane Ki Deewangi Ke Wajah Pyar Hai,
Meri Her Ruswayi Ki Wajah Mera Hi Yaar Hai,
Mera Hi Yaar Hai…
- Ritesh Modi

JAB TU UDAAS

Jab Tu Udaas Hota Hai,
Koi Teer Jigar Ke Paar Hota Hai,
Jise Tu Samjha Hai Jeet Meri,
Wo Asal Mein Meri Haar Hota Hai…
- Nida Khan

TERI BEWAFAI KA ASAR

Teri Bewafai Ka Kuchh Aisa Asar Tha,
Meri Wafao Se Khuda Bhi Bekhabar Tha,
Wo To Ho Gya Jo Wo Chahati Thi,
Mgar Afasos Yaaro Ho Wo Bhi Gya Jiska Muzhe Darr Tha,
Aankho Se Neend Gyi Dil Ka Krar Gya,
Zakham Bhi Nasoor Mile Dil Ko Samjhana Bekar Gya,
Mar-Mar K Jiya H Harpal ‘Kumar’ Kuchh Aisa Mera Hasar Tha…
- Ghanendra Kumar Bamaniya
Sad Shayari - Related to: 
4 Comments

KHUSHIYON KA KATIL

Mai Khwab Koi Sazau To Kis K Liye,
Mai Duniya Apni Basau To Kis K Liye,
Khawab Tut Gye Sare Sazne Se Pahle,
Duniya Uzad Gyi Meri Basne Se Pahle,
Mai Raah-E-Kadam Badau To Kis K Liye,
Ashak Mere Thamte Nhi Yaad Me Teri,
Asar Khatam H Ab Friyaad Me Meri,
Mai Haath Dua Me Uthau To Kis K Liye,
Wo Kahte H Bhool Ja ‘Kumar’ Muzhe Yaad Krke Hasil Kya,
Mai Puchhta Hu Mila Meri Khushiyon Ka Katil Kya,
Mai Khuda K Kahar Se Use Bachau To Kis K Liye…
- Ghanendra Kumar Bamaniya

MUZHE MALOOM H

Muzhe Maloom H K Meri Zindagi K Gam Kbhi Jane Wale Nhi,
Mai Intezar Krunga Unka Aakhiri Sans Tak Jo Kbhi Aane Wale Nhi,
Gair Mera Koi Nhi Apno Ne Hi Muzhe Sataya H,
Itne Berahm H Wo Apni Aadato Se Baaj Kbhi Aane Wale Nhi,
Zhuthe Pyar K Khel Me Har Bar Hi Wo Jeet Gye,
Mgar Pyar Koi Khel Nhi, Ye Unhe Koi Samzhane Wale Nhi,
Maut Pe Meri Zhuthe Hi Sahi Aansu Na Kisi K Muzhse Dekhe Jayege,
Or Wo Itne Sang-E-Dil H ‘Kumar’ Kiye Pe Apne Kbhi Pachhtane Wale Nhi…
- Ghanendra Kumar Bamaniya

WO BADAL GYA

Wo Badal Gya Par Dil Ko Yakeen Na Hua,
Wo Itni Dur Ho Gya Jitna Kbhi Mere Kareeb Na Hua,
Kya Khub Wafao Ka Sila Mila H ‘Kumar’ Tuzhe,
Is Tarah To Rutha Kbhi Tera Naseeb Na Hua…
Ye Fasana Nhi Dil-E-Dard Mand H,
Mera Har Gam Dil K Pinzare Me Band H,
Kya Krega ‘Kumar’ Zamane Bhar Ki Khushiyan,
Ek Bewafa Ki Yaad Me Use Rona Pasand H…
Tassavur Tera Jab Bhi Aata H,
Aankho Me Ashko Ka Sailaab Lata H,
Fir U Gujarta H Waqt Mera,
Na Dil Ko Krar Aata H, Na ‘Kumar’ Ko Aaram Aata H…
Meri Wafao Me Asar Nhi Tha,
Meri Duao Me Asar Nhi Tha,
Aaya Tha Tufan Fiza Me, Mera Tabaahi-E-Manzar Dekhne,
Mgar Gyi Nhi Khuda Tak ‘Kumar’ Unki Sadao Me Asar Nhi Tha…

No comments:

Post a Comment