Sunday, 11 March 2012

DIL KE YEH JAJBAAT


Kuch Nahi Baaki Bacha Hai Tere Jaane Ke Baad,
Tadap Uth-ta Hai Mera Dil Aaye Jo Teri Yaad,
Mayoos Ho Gya Hun Mei Apni Sooni Zindagi Se,
Koi To Ho Jo Samjhe Mere Dil Ke Yeh Jajbaat….
- Akash Chauhan
Sad Shayari - Related to: 
2 Comments

BEWAFA KE NAAM

Rooth Gayi Hai Khuda Ki Khudai Humse,
Kahi Maar Na Daale Unki Judai Hume,
Pyar MiLega Isi Aash Me Jeeye Jaa Raha Hu,
Uss Bewafa Ke Naam Se Peeye Ja Raha Hu….
- Ritesh Modi
Sad Shayari - Related to: 
4 Comments

AANKHO KI THI KHATA

Aankho Ki Thi Khata, Saza Dil Ne Payi Hai,
Pyar Mein Hume Mili Yaar Se Sirf Ruswayi Hai,
Tanhaiyo Ka Hai Daur Aur Dard Se Aankh Bhar Aayi Hai,
Lamho Ki Thi Khata, Sadiyo Ki Saza Payi Hai…
- Ritesh Modi
Sad Shayari - Related to: 
3 Comments

MERE GUNAH KI SAZA

Mere Her Gunah Ki Saza Usne Payi Hai,
Dard Ki Had Dekho Ke Uski Jaan Pe Ban Aayi Hai,
Hum Gunehgar Kehke Khud Ko Behla Liya Kerte Hain,
Aur Woh Muskurake Hume Ruladiya Kerte Hain….
Waise Toh Hume Nafrat Hai Apne Bewafai Se,
Lekin Jhutla Nahi Sakte Bewafa Hona Ke Sachayi Se,
Chhoda Tha Saath Uska Jisko Kehte Hum Apne Perchayi The,
Diya Woh Jahaan Use Jismein Khushiyan Na Dekhayi De….
Woh Toh Ab Bhi Apne Pyar Pe Kayam Hai,
Rooh Nikal Chuki Bas Uska Jism Reh Gaya Baki,
Kaise Kahe Ke Kaise Zindagi Usne Beetayi Hai,
Mere Her Gunah Ki Saza Usne Payi Hai….
- Ritesh Modi

PEHLA PYAR BANKE

Unhai Jab Dekha Humne To Dekhte Reh Gaye,
Apna Dil Na Jane Kab De Gaye,
Pyar Kya Hota H Ye Mil Ker Jana Unse,
Is Me Dard Bhi Hota H Dur Reh Ker Jana Unse,
Is Dard-E-Dil Ki Wo Dawa Bangayi,
Dil Ka Sukun Rooh Ki Pyaas Bangayi,
Apne Pyar Ka Izhar Kaise Ker Dete Unse,
3 Lafzon Me Seemat Jaye Aisa Pyar Hi Kaha Tha Unse,
Pehla Pyar Banke Is Dil Me Dhadakne Lagi,
Socha Maang Lu Sath Uska Us Se Hi,
Per Kaha Tha Raaz-E-Wafa Aana Mere Mukaddar Me,
So Tod Diya Dil Aur Chali Gai Chhod Ke,
Is Be-Dard Tanhayi Aur Bebasi Ke Sheher Me,
Bus Bechaniyo Ka Hi Sath Tha Akhir Tak,
Yehi Sabab Bani Pehli Galti Ka Ab Tak….
- Mohammad Samy
Sad Shayari - Related to: 
2 Comments

SOOKHE DARAKHTO PE

Kabhi Kabhi Tanhai Me, Bas Yu Hi Mai Sochta Hu,
Ki In Sookhe Darakhto Pe Kya Phool Aana Lazmi Tha,
Jab Pehli Baar Mile The Hum, Aur Tune Mujh Ko Dekha Tha,
Kya Tera Mujh Ko Dekhke Phir Muskurana Lazmi Tha,
Kuchh Tu Mujhe Thi Jaanti, Kuchh Mai Tujhe Jaanta Tha,
Kya Is Zara Si Baat Pe Yu Paas Aana Lazmi Tha,
Kabhi Kabhi Tanhai Me Bas Yu Hi Mai Sochta Hu,
Ki In Sookhe Darakhto Pe Kya Phool Aana Lazmi Tha,
Jab Tune Thama Haath Mera, Par Maine Khud Ko Roka Tha,
Jab Tune Dil Ki Baat Kahi, Par Maine Tujhko Toka Tha,
Shayad Mai Darta Tha Khud Se, Ya Phir Chahat Se Darta Tha,
Reh Reh Ke Jisko Chaha Us Jhooti Rahat Se Darta Tha,
Tab Tu Hi Mera Aasma Aur Tu Hi Meri Sar Zamee Tha,
Kya Is Wajah Se Yu Hi Apna Dil Jalaana Lazmi Tha,
Kabhi Kabhi Tanhai Me Bas Yu Hi Mai Sochta Hu,
Ki In Sookhe Darakhto Pe Kya Phool Aana Lazmi Tha
Jab Tune Mujhe Bataya Tha Ki Pyar Tu Mujh Se Karti Hai,
Tab Armaan To Pyare Se Kuchh Mere Bhi Dil Me Jaage The,
Ik Pal Ko Ye Ehsaas Hua Ye Duniya Jaise Jannat Hai,
Ya Shayad Us Pal Ke Nazraane Jannat Se Bhi Aage The,
Zindagani Ke Safar Me Ik Vo Hi Manzar Haseen Tha,
Dil Ki Bandisho Se Phir Yu Paar Aana Lazmi Tha….

No comments:

Post a Comment